Syeda Areeba Fatima || New Naat 2023|| Madina Yaad Karlena || Heart Touching Naat ||Health and Fitness
Madina Yaad Kar Lena lyrics in Roman/English
Jeene ki Taraf dekh na Marne ki Taraf dekh
Jab Chot Lage Dil ki Madine ki Taraf dekh
Jo Koi Gham Sataye to Madina Yaad kar lena
Na Dil ko Chain Aaye to Madina Yaad kar lena
Sahara be-saharon ka Madawa Gham ke Maaron ka
Na Koi Kaam Aaye to Madina Yaad kar lena
Umuman Zindagi mein Dukh ke Din bhi Aa hi Jaate hein
Kabhi Lamha Ye Aaye to Madina Yaad kar lena
Suna hai Mushkilon mein Sath koi bhi nahin chalta
Zamana Chhod Jaaye to Madina Yaad kar lena
Kabhi Ashkon ki Boli bhi Khamoshi mein badal Jaaye
Aur Dil Aansu bahaye to Madina Yaad kar lena
Hawaein bhi Mukhalif hon Ho Dariya mein bhi Tugyani
Aur Kashti Doob Jaaye to Madina Yaad kar lena
Kabhi Jo Saans bikhri ho Kabhi Dhadkan Jo Ulji ho
Na Dil bhi Jo Sambhal Paaye Madina Yaad kar lena
Musibat mein to Har koi Unhi ko Yaad karta hai
Khushi Ahmad Jo Aaye to Madina Yaad kar lena
